You are viewing a single comment's thread:

RE: When the Chemist Becomes the Doctor: A Dangerous Habit in India

The scene of Indian medicine is changing, Sometimes I feel like doctors are not interested in curing the patient instead making the patient as a regular customer. I understand that in certain conditions its unavoidable like the treatment of critical medical conditions. But like my unexplained cough last year and this year I had to burn approx 60% of my salary just to cover the medical costs and to get the answer sometimes it happens.
Matlab kya? Aapko pata nahi aur aapne itne test karwaye aur sab normal nikala to bolte hain theek ho Jayega kuch bhi nahi hain.

Abhi Andaman trip mein ear pain ho gaya that govt hospital gaya. To doc sahab apne phone se bahar tak nahi nikali ulta koi intern mera haal dekh kar tablets de diya, earpain mein drops tak nahi di. Jab meine complaint ki tab pooch rahe pain jayda hon raha hain kya. 🤦‍♂️ Isse aacha mein apne symptoms chatgpt mein dal deta.

Bura haal hain bhai. Aur pharmacists ka alag hi chal raha hain. Dawa badal de rahe aapni marzi se. Doc ne jo likha hain wo nahi but koi aur dawa hain same bol kar pakda dete hain.. ☠️

0.00024395 BEE
1 comments

Yah baat to aapane bilkul sahi Kahi private hospitals bada Bura hal hai vahan vah chahte Hain ki adhik se adhik samay aap unke pass hi Rahe main kuchh mahine pahle Apne relative ki vajah se hospital mein tha unki care karne ke liye to unko bus normal Si problem Thi unko thoda kafi jama ho gaya tha chest per to bus vah hamen kuchh Na kuchh bahana karke unhone lagbhag hame 2 - 3 din extra rok Diya jabki vah theek ho chuke the.

Aur government hospital mein to doctor Sahi kaha aapane seat Se uthata bhi nahin Hai dekhne ke liye aur bus aap simpt bataiye aur Bus parchi mein likh dega davaiyan ya duniya bhar ke test kara dega aur and mein sab normal Aaye aur bolega ki yah to seasonal chal raha hai 🙂. Per mujhe kuchh is skin related problem ho rahi hai kafi samay se per Jo skin ka doctor kafi achcha hai sach mein aur mujhe usse kafi jyada fayda bhi hua Hai Baki aapki baat bhi bilkul sahe hai.

0.00000000 BEE

Haan waise sabhi ek jaise nahi hote. Mein bhi kuch doctor's ko janta hun jo ilaaz bade dhyaan se karte hain aur make sure karte hain ki aapki Puri baat sune, ye nahi ki aapko dekh kar ki vitamin aur gas ki dava likh di..😂

0.00000000 BEE